Bandish Lyrics – Umair Khan | Talha Anjum, Talhah Yunus

Bandish Lyrics – Umair Khan | Talha Anjum, Talhah Yunus




[Verse 1: Shareh] 

20 saal phassa 9 to 5 kay jail mai 
Chakki peesi, yeh samjhay bacho ka khel hai 
Aiming high, aur upar mere goals bhi 
Sangat kari kam, lekin kam mere dost nahi 
Pareshan sab kay sochay jata mai kidhr? 
Subah 8 jata, raat 12 ata ghar 
Rishto ki door maine katay saaray dhaagay 
Dagha jou krte maine touray unsay naatay

Yeh dastan meri, par mai tou koi yas nahi 
Saanp itnay mile tabhi kaati maine ainsteen 
Ab tank top pehna khara jaise wife beater 
Joey Badass, motherfucker mic eater
Asal pasand, mai puzzled, bassad yeh dekh ke
Nazar yeh logo ki qasar nahi chori thi tori thi fassal 
Thouri thi hustle darasal bolay yeh naqal, nikal 
Nickel sa shine mera jese Faiz likh raha hou yeh ghazal
Yeh sansani khez, yeh lafz barood, logo ki loot kaalay kartoot 
Seerhi nahi, kamiyaabi ke pahaar charhnay
Basta hai peechay, aur mukhlis mere 4 jannay
 Handicapped halaat, they kept me far away 
Khojun khushi jaro mein, taur nakaam padhay 
Manzil saaf lekin rashta kesa dhua dhua 
Ankhay nam, aansuo say bhara qu’aa hua 
Afsurdagi, khoya hosh dhuwa khansay 
Ab band qalam, band aankhein, khirki se yun maazi jhankay

[Chorus: Jokhay] 

Dil mein khuf-E-khuda aur hausle buland
I’m focused on my aim, mera bus aik hi azam
Duniya aik fitoor milte rahte bas zakham 
Kaamyabi soch ke badhata reh qadam 
Koi kisi ka na yahan.. Kathin hai raashta zara.. 
Bas mere saath hai Rab mera Bujhe na jalti ye samaa

[Verse 2: Talha Anjum] 

Kalakaar badzaat nai hota kala ki koi zaat nai 
Bin maa ke baray huye mere yaar 
tou phir kaise aayegi yaad nai 
Kaam bolay, baat nai, 
wo mattha hi kya jo ho shaat nai 
Jo baatein main likhta hu apne aik verse mein tujh jaise likh saktay aath nai 
Dafnau in saaro ko aur karun inki qabarao pe gardening 
Waqt ne kiya hai launday ko sakht, toh aayenge kaise ye hard nai 
Mere veriyaan di maa raati soyi nai 
Neend ki gooliyan ka asar usay hoyi nai 
Lakht-E-jigar ki fikar mein wo royi gi 
Lakht-E-jigar ki qabar pe main khada 
Had-E-nazar tak dikhein sirf murday 
Aise lagay jaise sirf mein hi nai mara 
Aise lagay jaise ke mein Bhutto bro 
Sahi samjhay haan main Bhutt hu bro 
Marna hai sab ne , i’m good to go 
Good books mein na rakhu kisi chuttu ko 
Sudh budh kho betha mein hu khud ko bro 
Urdu Rap and i go hand in hand 
Urdu rap ball toh mein foot hu 
Urdu rap neighbour toh main hood hu 
Mera Wu tang flow beta time two time lo 
Tera choo chein bohot, and you’re too damn slow 
Aik taraf tum, Aik taraf YS 
Ab public toh hogi na bias 
Aur is he baes 
deni chor’di fucks jab hit kiya baees 
Mein nai judge but i walk in and i make all rise 
Alright, alright 
Hum he don , hum hi dawood, hum hi noise, hum hi loud 
Alright, alright 
I’m runnin’ the game you’re runnin’ your mouth 
Alright, alright

[Chorus: Jokhay] 

Dil mein khuf-E-khuda aur hausle buland
I’m focused on my aim, mera bus aik hi azam
Duniya aik fitoor milte rahte bas zakham 
Kaamyabi soch ke badhata reh qadam 
Koi kisi ka na yahan.. Kathin hai raashta zara.. 
Bas mere saath hai Rab mera Bujhe na jalti ye samaa

[Verse 3: Talhah Yunus] 
Mera exam tha, haatho mein kalam nai 
chal raha dimaag ye Jo khabar mili 
mujhe bekhabar saare phir bhi nai ruka tha haath ye 
Pooche aansu maine aapne baap ke 
Lee koi kitaab nai phir bhi jawaab de Haazir jawaab mai, 
dard is awaaz mai Likh rahay haadshay, 
pairon mein kaanch thay Cut throat, 
gallay kaatein mere bol bhi Mere aagay bol nai 
Urdu Rap pe hold jaani ghuma mai lahore bhi 
Mere jaise aur nahi Log karen call mujhe
 alag meri torr bhai Dealen karu lock, 
is kalakaari ka koi jorr nai 
Sar pe zimmedaarim aaj bhi kisi verse mai jhol nai 
Lakhon chahne waalay mere bechi maine soul nai 
Muu boli qeematein dengay hum loan nai Nai hota copy, is flow ki monopoly Banda mai sau feesad asli samaji nai Pehni new jersey par main toh kadafi nai 
Beat pe barbaadi ab ho chuka 
aadi Main 
nai rukne wala bachpan se hi bhaagi mai 
Ladke Karachi ke, har waqt jazbaati Hum paapi puraanay, 
tu goli maar chaati pe Peeth peeche bharvat, 
ye launday Tekashi se Haath bandh pen choor meri baat maan 
Ghiss chhote tu, kya kar raha diss mujhe baap maan 
Hype dunga Karachi mai, 
naam lega laakh baar Ye nai Baghban, 
meri aankh laal, lagi aag bahir, 
aa ke jhank man Hum hain wo jarr jis ki tu mehaz ek shaakh man 
Talent apna rasta khud banata, pooray khuaab man 
Lafzon ka darya ye , doobe saharay pe Mujhko bula rahay the, 
patti padha rahay thay Mere tajurbe ne roka, 
hum ja rahay thay Pahle chaba rahay, 
hum samjhe bechare Log humse kama rahay the, 
hum bhi kamaanay den Khuda hai gawaah, tu bara 
tu jaane de Jaane de, jaane de


Comments

Popular Posts